Prem sagar hai.
Ek anhoka rista jo sukh ka roop hai. Prem k sambhand main jeene ka anand hai.
Kisi se Prem uski achai aur sachai se suru hota hai, aur uska swabhab hi Prem k ristey ko aant tak leke jata hai.
Prem niswarth bhaw hai, jisme prem k alawa kuch nai chaiye hota hai.toh jise aap prem karo toh usse bhi srif prem ki icha karo.
Prem aapnapaan hai aur is me kisi se bhi prem kiya jasakta hai, jaise bhagwan se, mata-pita se, guru se, bhai se, behan se, ristedaro se, premika se, kisi janwar se, kisi jagha se, toh kisi jungle se ya.
Hum har us cheej ko aapne prem ka hissa dete hai.
Isliye ek ladka aur ladki ko ek dusre se prem ki tulna nai karni chaiye. Prem toh bas karte raho jab tak woh aapna hai.
Uska prem kisi me dikhe toh na samjo k tum kuch nai, ye satya bhi hosakta hai woh tum dono ko ek barabar hi prem karta ho.
Jisse aap prem karte ho, aap usse dukhi bhi nai deksakte parantu kamjor bhi nai.
Insaan prem ki tulna main galati bhi kar jata hai , kyuki jab woh prem main hota hai toh woh duniya se dur hota hai.
Isliye Prem ka santulan bana k rakhna chaiye jaise ek maa aapne sabhi bacho ko ek barabar Prem karti hai.
Prem ki sunheri katha shri krishna aur radha ki hai, parantu krishna radh aur Mira k nai hone par bhi Radha aur Mira niswarth bhaw se karti rahi.
Iska arth ye hai ki kabhi prem khatam nai hota kyuki woh uski achai se hota hai. Jab tak usme achai hai.
Prem ki duniya main jeevan sukhi hai aapne prem ko jagrut rakho aur santulan banai rakho.
Agar aap kisi ko prem nai karoge toh woh bhi aapko jatahega nai.
Aur prem karoge toh chupahega nai.
Comments
Post a Comment