Jeevan main kahi paristithi aati hai aur woh ek anubhav dejati hai, woh sukh bhi ho sakta aur dukh bhi.
Ye humhare soch k upar hai woh humhara sukh hai ya dukh hai ye manana.
Aaj sansar main sukh aur dukh cheejo aur risto k karan hai, kisi vastu main agar unki prapti hoti hai toh woh unhe sukh lagta hai ya agar kumhi hai toh dukh.
Aaj sabko sarwapratham banna hai par socho kya ye aapka laksay hai. Jyada paisa kamana, bada ghar, ache pakwan aur badiya abhusan ya wastra.... inme se kya sath jahega - kuch nai.
Insan karam jarur lejahega.
Ache karam usse aur uske parmatma dono ko sukh prapti karata hai aur dukh kalesh lata hai.
Sukh se kya milta hai - anand, khusi, prenna, Atma gyan,
Sukun, santusthi, santosh, kuch purna hone ka aihsas, aur khudh pe bharosa.
Dukh se - krodh, irsha, ghamand, gurur, lalach, lobh, adhurapaan, becheni, chinta, asafalta, aur kalesh.
Sab icha pe nirbhar karta hai. Agar icha leni ki ho toh dukh ka karan kuch bhi hosakta hai parantu dene ki ho toh anand milta hai.
Kisi jarurat k liye woh lachar hota hai parantu aap agar uske sahyak banoge toh woh aapko sukh dega aur usse khushi.
Roti kapda aur makan ye sabse mul jarurat hai manavta ki iske alawa sab kisi kaam k nai.
Agar aap ye mul jarurat aapne jarurat k anusar hi le toh aap yahi kisi ko aage madat k dristi se seva bhav bhi kar sakhenge.
Parantu agar aapki aur inme hi aur jyada, aur bada ya aur sundar ki ho toh aap kabhi na inse sukh pasakhenge na desakhenge.
Jarurat tak ka rakh k baki ki bachat karo aur dekho kami nai rahegi. Aur sukh prapti hogi.
Aur lalach kum na ho toh jo paya hai uski kadar bhi nai hogi aur dukh hamesa apke sath rahega.
Aapki icha mahatwapurna hai.ye riste banati bhi aur bigadti bhi.
Kisi aur ko aapse kya jarurat jab tak aapko uski jarurat main jarurat na dikhe.
Sab aapna jeeven jeene aahe hai isliye sath nai doge toh naraz hi chale jahoge.
Comments
Post a Comment