Skip to main content

Atithi devo bhava.

Atithi devo bhava! Ye ek slok hai.

Atithi ek mehman jo humhare liye aata hai. aese duniya main sabko aapne jivan ki padi hai par koi aapna samay nikal k humhare liye kuch kare ya humhara haal hi pouchne aahe toh kya woh saman k patra nai hai.

Mehman ka adar purwak saman karna chaiye karan woh aapni aapni duniya se waqt nikal k aapke liye aaya hota hai.

Phele mehman ko pani pouchna? 
Ye hoga hi k woh kahi dur se Yatra karke aap tak pouche ho nai toh pass hi wale ghar k insan ko toh hum padosi kehte hai. Jal jeevan ki ek jarurat hai sabhiko aur jo humhare ghar ya nagar koi aaya hai toh usse pouchna humhara dharm hai.

Ye woh hote hai jinse koi salha le toh adhiktam sahi milne ka saar hota hai. Ye unki bhawana hoti hai tumhare liye jo unhe tum tak lati hai aur tumhare vichar main jise anand milhe kya unhe saman anivariya nai.

Inka aana ye bhi dikhata hai ye nishankoch hai aur inke dwar aapke liye bhi khule hai.

Prem bhawana hi ek athithi ka darshan hai.

Uske maan main tumhari jagha dikhlati hai.

Ek baar aur yeh sahi hai k Atithi devo bhava! 


Comments

Popular posts from this blog

Bhakti ka marg

Bharosa hi bhakti hai. Jispe humhe bharosa hai hum uski bhakti karte hai. Par aaj k is jamane me bharosa hi nai raha toh bhakti kaha se hogi. Insaan ka Jeevan ek bohat hi aahem udashiya se huha hai aur woh hai aapne parmatma ko prapt karne ka, aur ye Manav jeevan usse ek avsar hai aapne parmatma k pass Jane ka ya usse khush karne ka aapne bhakti se aur aapna jeevan k karam se. Ab parmatma ko khush karne ka kya matlab huha ? Bhagwan ne jab humhe jeeven diya toh do cheej banai, ek ye Manav sarir aur ek aatma.  Hamesa jab humhe koi kuch deta hai toh hum khush hote hai aur hum usse bhi kuch dekar khush karne ki kosis karte hai. Yahi humhare sanskar hai aur yahi humhe aapne bhagwan ko bhi dena hota hai aapni bhakti se. Ab kya bhakti saari umar karni chaiye ? Nai parantu humhe bhagwan ko roj aapne maan se yaad karna chaiye jisse hum ye na bhul k yaha humhara kuch nai aur Jis din humhe wapas duniya se jana hai uss samay aapne bhagwan ko yaad karna hai jisse ye sarir ko hum yahi tayag kar ...

Meaning Of Gayatri Mantra In Hindi And English

  ॐ भूर्भुवः स्वः तत्सवितुर्वरेण्यम् , भर्गो देवस्य धीमहि धियो यो नः प्रचोदयात् ||     Meaning Of Gayatri Mantra In Hindi उस प्राण स्वरूप, दुःखनाशक, सुखस्वरूप, श्रेष्ठ, तेजस्वी, पापनाशक, देवस्वरूप परमात्मा को हम अंतःकरण में धारण करें। वह परमात्मा हमारी बुद्धि को सन्मार्ग में प्रेरित करे। अर्थात् 'सृष्टिकर्ता प्रकाशमान परमात्मा के प्रसिद्ध पवणीय तेज का (हम) ध्यान करते हैं, वे परमात्मा हमारी बुद्धि को (सत् की ओर) प्रेरित करें। [ads-post] Meaning Of Gayatri Mantra In English  OM. I adore the Divine Self who illuminates the three worlds -- physical, astral and causal; I offer my prayers to that God who  shines like the Sun. May He enlighten our intellect.     Meaning Of Each Word: ॐ = same as `OM' i.e. the praNava or `o.nkAra' mantra;  भूर्भुवः = the Earth and the world immediately above the earth;  स्वः = one's own;  तत्सवितुर्वरेण्यं = that all creating great person in the form of sun;  भर्गो = radiance; luster; brilliance;  देवस...

Dikhawa sansar ka

Dikhawa woh karte hai jiske pass deraj nai, woh aapni chijo ko ya aapne vichar ko logo ko dikhate hai yeh maan kar k aapke pass log se jyada hai. Aisa karne se aap uski najro main Gir jate ho. Insan Prem ki talash main hota hai jisse usse sukh mile aur aap usse kuch aur dete ho. Iska kya matlab hai. Aur yahi karan hai log aapse dur hojate hai. Aapko jo mil raha hai woh aapki kismat aur mehnat hai, toh aapki kismat ka dusro se tulna karne ka kya arth. agar aap kuch pakar bhi kisi ka samaan nai karsakte toh aapko aapmaan k liye bhi tayar rehna hoga. Jab aap koi dikhawa karte ho toh aap khud ko sahi samajte ho aur us samay agar aapko koi alag jawab de toh aapko krodh aajata hai ye sab aapke liye acha nai. Jeevan haste haste aur sikhte huhe gujaroge toh ye bohat sundar lagega warna bohat hi kathor.