Ishwar, god, allha, bhagwan aur bhi kahi naam se inhe bulaya jata hai.
Ye ek ashtha hai jo jeevan main sabke samne aati hai aur kahi log isse mante hai aur kuch log nai.
Parantu satya ye hai k koi ek hai jo shristhi ko chalata hai koun hai ye nai pata par hai aur iska jawab bhi humhare andar hai par koi pa na sakha ya paya toh sabko bharosa na dila paya.
Aaj log dharm main vibhajeet hogaye hai, par ye kisi parmatma k karan nai par hum hi iska karan hai.
Mera matlab aap nai par aap hi k tarha insan ka jo ye bhawna sabme failaya hai.
Parantu satya yahi hai k parmatma ek hai jo kewal antar dhyan se hi prapt hosakta hai. Aap usse kisi bhi naam se jaap karo ya bhakti karo. Woh milega. Aur margdarshan bhi karega. Usse satya ka baat bodh hoga.
Sach ye bhi hai k ishwar kisi cheej se khush nai hota, Ishwar ki Khushi aapne bhakt k karam main nihit hai.
Aap niswarth bhaw se sansar ki seva karo toh iswar jarur khush honge karna usne duniya banai toh usse bhi kast uthane pade honge aur hum kewal iswar ka naam leke usse hasil karle ye bhi sambhaw nai.
Jaan seva hi pratham dharm bhi mana gaya.
Isme aap jaruri nai k srif manav seva karo parantu manav, janwar, prakruti, nadhiya samil hai.
Aapka maan hi aapki safalta hai.
Swach maan aur satya bhawna se karam ko ek upadhi milti hai ab nerbhar us upadhi par karti hai k woh thik hai, uttam hai, ya galat hai.
Bhagwan ya Ishwar aapko bahar kahi nai milsakte karan woh aapke antar maan main hai. Aapki sakarak soch iswar ka pratik hai aur aapki nakarak soch danaw ka.
Icha aapki hai aap iswar ko srif poujhte ho ya sath hi aapne iswar ko khush bhi karte ho.
Lobhi mat Bano
Comments
Post a Comment