aap akele aapne liye kafi hai parantu, jab baat sath ki aati hai toh ek milap jaruri hai.
Aapko ek sathi k liye uski jarurat ko dhyan main rakh k uski umeed puri karni hoti hai.
Parantu jab aap koi kariya sath karte ho toh usse ekta kehte hai aur Ekta ki Sakthi aap akele se kahi adhik hogi.
Sathi ko banahe rakhne k liye, ye bhi jaruri hai k hum jitna usse umeed kar rahe hai kya hum usse utna derahe hai?
Isliye kehte hai ache ristey k liye kya liya ya kya diya ki soch k jagha srif sathi ke liye niswarth bhaw se bharosa karte jao kabhi kathinaiya nai aahegi.
Kisi sathi ki baat samajne se phele, usse samajna jaruri hai k woh kuch sikh Kis liye derahe hai.
Bhul k duniya ko jab kisi ka sath doge toh ristey majbut honge aur ekta ki sambhawna jyada hojahegi.
Aur dusro ko dhyan main rakh kar aapne sathi ko dekhoge. kum ya jyada ki tulna bhi adhik hojahegi.
Aesi soch se hi hum ek se do aur do se adhik hote hai aur ekta aur badti hi jyati hai.
Jeevan main sabse jaruri hai pariwar main ekta.
Ek pariwar main jab ekta rehti hai toh us pariwar ko koi kuch nai bigad sakta.
Aur uske liye humhe duniya ko bhulana hota hai,
kyuki agar duniya se pariwar walo ki tulna karoge toh kuch nai milega,
par sayad kho jarur jahega.
Hum aapni icha ko niyantrit rakhe toh har prayas safal hojate hai, nai toh sab bikhar jata hai.
Comments
Post a Comment