Sansar samay k sath Badal raha hai.
Aur pragati bhi kar raha hai.
Kitna acha hota k sansar badalta par insan nai parantu aisa nai hai sansar k sath insan bhi Badal gaya hai karan usme sanskar ki jagha Morden fashion ne leliya hai.
Jante ho duniya kaha se kaha pouch chuki hai.
Iska sabse bada udharan deta hu.
Ek samay tha jab bacha har subha aapne mata aur pita ko naman karta tha kyuki woh unke Madyam se ye sansar me Jeevan k liye chuna gaya tha ,woh uski duniya hote tae karan usne unki parwaris main iswar ko dekha hota tha aur woh uska karz unki baki umar ki seva main betate tae.
Aaj bacha woh shik raha hai jo mata pita aur ye sansar shikata hai.
Mata pita ka aati Prem uski jarurat pura karne main lagate hai.par unka swabhaw usse virasat main milta hai.
Jaha jarurat puri na hone par ghar me ek krodhit ghatna ghathi hai chaiye koi bhi kare jaise mata pita k bich ho agar kisi ek ki icha ho toh ,ya mata pita aur dada dadi k bich ho badlaw ko leke.
Hum bache ko lena toh sikha dete hai usse sab de de k parantu usse baatna nai sikhate jisse uske andhar lobh na paida ho k ye mera hai.
Sharing is way to see happiness.
Batne main humhe khushi dikhti hai.
Ghar chalana bhi ek ghatna ban gahi hai, chaiye kum ho ya jyada, aur jyada ki umeed kisi main khatam hi nai hoti isse lalach aur jyada hojata hai.
Jo karan hai krodh ka k mere pass abhi tak kum kyu hai insab main jeendagi nikal jati hai par santosh kahi nai hota.
Aur wahi krodh bacha bhi sikh jata hai.
Aisi kahi cheej hai jo samay k sath badal chuki hai aur insaan ko pata hi nai chalta galat ka karan koun hai woh ya ye duniya jaha sab hi aisa karte hai.
Par insaan ko ye malum hona chaiye k sahi aur galat ka chaiyan woh khud karta hai toh Doshi bhi woh khud hai.
Western culture unlogo ne banaya jinhone pariwar ko nai par apni icha ko mahatwa diya aur humne unki soch aapnai jinhone pariwar ko thukradiya.
Sanskar ek pariwar main ekta se hi hai.
Comments
Post a Comment