sabse jaruri jeevan main kisi bhi samay sahi aur galat ka abhas karke ek chaiyan karna hai.
Insan aksar galat rasta sahi samaj leta hai aur woh uski jindagi ka samay aur ristey dono bigad deta hai.
Kya sahi hai aur kya galat ?
Ye sawal bohat bada sawal hai aur ye kisi guru k alawa koi nai samja sakta.
Kyuki ek guru hi hota hai jisme swarth bhaw nai hota kyuki woh jo sikhta hai wohi prachar karta hai par niswarth bhaw se.agar guru bhi kuch galat kiya ho toh woh nai chaihega k uska shikshak bhi wahi galti kare.
Sabse jaruri cheej aapne liye - roti, kapda, aur makan ye insani jarurat hai.
Iske alawa anubhav hi hai jo woh apne sath leke jata hai aur baki sab yahi reh jata hai.
Kuch hona ya bohat acha hone main koi farak nai.
Par kuch hona ya na hone main bohat farak hai.
Agar aapke pass aaj 5 roti hai toh aap ek k liye kafi hai par agar 500 hai toh woh aapke kisi kaam ki nai aur kisi jarurat mand ko do toh bohat kaam ki hai.
Kyuki khana ek din adhik main kharab hojata hai.
Toh agar aapke pass jyada ho toh jarurat mand ko dedo.
Ishi tarha kapda ya Sadha ho ya resam ka kaam woh ek hi karta hai. Toh agar lobhi na bankar aap sadha pehne toh huhi bachat se aap kisi aur k bhi taan dhakne k kaam aapahoge jisse sahi karam honge aur agar aap ye jaan k bhi resam lo toh aap lobhi aur swarthi hi rahoge.
Aur makan chaiye chota ho ya bada makan toh makan hi hota hai jaha ek gujara karne ki jagha milti hai. Par yaha bhi bada ghar hone se ek gurur aajahega k main baki se bada hu, parantu wahi woh chota ghar pasand karke baki se jarurat mand ko makan nai toh roti ya sade kapde ki bhi madat kare toh usme se krodh, swarth, lobh, gurur, ghamand adi bhawna khatam bojahegi.
Jisse woh hamesa sahi marg k liye shaksham hojahega.
Baki galat ka main kya bayan karu duniya main jaha bhi dekho aapko kafi udharan mil jahenge.
Sahi soch k liye Prem, daya, Karuna, aahinsa, niswarth aur Bhakti bhaw ka hona jaruri hai.
Bhakti isliye k agar aap kisi ki bhi seva karo toh ye maan lo k aap aapne prabhu ki seva kar rahe ho.
Yahi parmanand hai jo moskh ka bhi marg hai.
Comments
Post a Comment