Dikhawa woh karte hai jiske pass deraj nai, woh aapni chijo ko ya aapne vichar ko logo ko dikhate hai yeh maan kar k aapke pass log se jyada hai.
Aisa karne se aap uski najro main Gir jate ho.
Insan Prem ki talash main hota hai jisse usse sukh mile aur aap usse kuch aur dete ho.
Iska kya matlab hai. Aur yahi karan hai log aapse dur hojate hai.
Aapko jo mil raha hai woh aapki kismat aur mehnat hai, toh aapki kismat ka dusro se tulna karne ka kya arth. agar aap kuch pakar bhi kisi ka samaan nai karsakte toh aapko aapmaan k liye bhi tayar rehna hoga.
Jab aap koi dikhawa karte ho toh aap khud ko sahi samajte ho aur us samay agar aapko koi alag jawab de toh aapko krodh aajata hai ye sab aapke liye acha nai.
Jeevan haste haste aur sikhte huhe gujaroge toh ye bohat sundar lagega warna bohat hi kathor.
Comments
Post a Comment