jhad, ped, pouda ya bail ye sab bhi jev hai, inme bhi jindagi hai aur ye ek hissa ban sakte hai jaise kisi insan ka insan se.
Insan ka insan se wasta kya hai len, den aur rehna , sehna. Ye prakruti k jhad ya ek chota pouda bhi humhe kuch dene ki himat rakhta hai jaise aap aapne pariwar ko pura din nai de pate par thoda bhi unhe manzoor hai waise inhe bhi keval 10min hi aapke chaiye.
Humhare purane samay main kafi parampara thi subha uth k keti karna, woh humhe bhuk ka bhi hal deti thi aur thodi jarurat puri karne ka gujara ,sath hi sansar ko sudh hawa, gai k liye chara bhi.
Jadh k bhi anek labh hai.
Tulsi parampara. Ghar ki aurat k liye ye maan saaf karne ki yatra thi aur aaj bohat kum hota hai. Kahi bimari ka ilaj hai ya ye kehlo humhe bimari na lagne ka bhi.
Ye sabhi bol nai sakte matlab bina mange kitna kuch dete hume woh bhi srif pani se. jaal hi jeevan hai.
Kuch aur dost bana lo kaam aahenge. Chaiye bhawna jo bhi ho ye denge hi.
Itni badi jeevan jeene ki sikh ye dete hai aur hum inke ansh barabar bhi nai.
Insan aur prakruti ka sathi hi ye sansar ko chala sakta hai warna pralay bhi door nai.
Aap shikho ge toh hi aapne bacho ko acha jeevan aur shikha paahoge.
Comments
Post a Comment