Pareshani kab hoti hai ?
Insaan ki pareshani ka karan hai khud uski icha.
Jab uski icha puri hoti hai toh woh khush hojata hai aur jab nai hoti toh uske maan maine ek sawal aajata hai, k kyu ye aisa horaha hai.
Ab sabhi sawal k jawab humhare pass nai hote toh fir sawal aajata hai kyu mujhe iska pata nai.
Phele toh ek pareshani thi k kyu icha puri nai horaha fir uske uper ek aur sawal k mujhe kyu nai pata. Aur aise hi sawal pe sawal dimag main badte hi jate hai par jawab Milne tak khud uska dimag pareshani main fass jata hai.
Dusri baat icha purti na hone par jab karan koi aur nikalta hai toh krodh ka janam hota hai. Us insaan k prati jo uski icha puri na hone ka karan ban jata hai.
Ab ek icha ka nuksan toh dekho phele pareshani dusra gussa aur samay kharab huha woh alag.nuksan kiska huha khud ki icha se khud ka hi.
Insaan ko kahi baat samajne main samay lag jata hai aur jis din woh ye manta hai ki sayad hum galat hai. Woh samay nikal jata hai.
Yahi samay main aap kahi kaam, dusro ki seva ya kisi ka dhyan rakhne main nikalte ho toh ek viswas maan main hota hai. K humne jo kiya woh kisi k kaam toh aaya. Aur jab safalta dikhti hai toh khushi bhi milti hai.
Jis tarha sansar main log lobhi horahe hai, woh ek bade pareshani ko janam de rahe hai, na aapne aap ko par aapne risteydaaro k liye bhi.
Bache ko dekh k aaj sabse jyada mata aur pita pareshan hai. Ek bache ki pareshani aur sehne wale kahi log. Sukh aur santi ka rasta agar aapne ek icha ko tyagne se milta hai, jisme sabka Kalyan samne ho woh insaan hi insaniyat ki pehchan hota hai aur jo fir bhi aapni icha k piche bhage khud pareshani le aur dusro ko bhi pareshani de usse aap kya keh sakte ho ?
Jeevan ko Jena hi zindagi nai, jeevan ko samajna zindagi hai.
Comments
Post a Comment